Yeh Dooriyan Shayari



Yeh DooriyanYeh Dooriyan

Ye saja hai kis khata ki Aapki yeh dooriyan

Hai pareshani bala ki Aapki yeh dooriyan

Raatbhar jalti rahi par
Aaya parwana nahin

Haye re kismat shama ki Aapki ye dooriyan

Imtihan hai sabra ka ye Aur junoon ki inteha

Ho na rusvai vafa ki Aapki ye dooriyan

Kaise bhar sakte hain woh jo jakhm phoolon se mile

chot jaise ho hawa ki Aapki ye dooriyan

'Ruh' dar hai ke kayamat Aa na jaye samne

jaise aahat ho kaja ki Aapki ye dooriyan






Too

Har saaj me tera nagma hai

Aur naam tera har dhadkan me

Har phool me tera chehra hai

Aur jikr tera har gulshan me

Har geet me hai aawaj teri

Aur teri adayen sawan me

Ye din Ye raat, Ye kaynaat

Sab khilte hain tere aangan me

Jo khwab chhupa hai palkon me

Jo khayal gunjta hai man me

Woh too hi to hai jiska jalwa

Roshan hai meri chitwan me

Tera hi roop najar aaye

Jab jab main dekhun darpan me

Kudrat ne khushiyan chunchunkar

Bhar di hain mere daman me



Yeh Dooriyan Shayari

Comments