Kabhi Hum bhi the deewane, woh kuch aur baat thi Humse hi the jamane, woh kuch aur baat thi
Hum jab bhi hawaon se kahte the dil ki baaten Ban jaate the fansane, woh kuch aur baat thi
Hum aanh agar bharte,
pighalta tha aasman,
Barsaat ke bahane,
woh kuch aur baat thi
Roothe kabhi jo rahte the Hum apne aap se, Aata Khuda manane, woh kuch aur baat thi
Chheda jo saaj-e-dil to goonjti thi vadiyan, gati phijan tarane, woh kuch aur baat thi
Jab jikr humse hota tha meena-o-jam ka, Zoom uthate the maikhane woh kuch aur baat thi
Humse shuru humeepe khatam hoti thi kabhi Duniya ki dastane woh kuch aur baat thi
Naaj apne uthata tha jahan aur aaj hum Jeete hain gam uthane, woh kuch aur baat thi
Ae 'Ruh', ye Gazal to hui,
beeta hua kal,
Kal kya ho kaun jane
woh kuch aur baat thi
Comments
Post a Comment