Ek Rahi Ki Kalpna - Suryvansh Lal Nirala

Ye mast hawa dhire bah tu,
Mere Dill me Dhadkan hota hai !
Tu aati hai sukh dene ko,
Per mujhko tadpan hota hai !!

Ja ja re pawan uss gher me ja,
Jaha Rani Pusp ki soti hai !
Jaker-ke abhi sula unko,
Meri wadi tujhse ye kahti hai !!
wo soti hai mai jagta hun,
wo hasti hai mai rota hunn !
Es birah milan ki bela me,
Fir bhi ye tumse kahta hun !!


Jakerke abhi sula unko, Aanchal ka chawar dula unko !
Mere rom rom ye kahte hain, Jaise ho sukh pahucha unko !!
Ye nisa bhi aadhi bit chuki, Sari duniya nind me dub chuki !
Ek rahi fir bhi jagta hai, Kyu ki uski kamna tut chuki !!


Hey bhagya bidhata kaha chhupa,
Chhup gaya kaha mujhse ruthker !
Hey jag ke shrizan har priye,
Harlo badha meri aakar !!

Teri chhaya ki dhuli me, Hai pada tadpta lal tera !
Ma nindra dur hui mujhse, Ab bhi to khyal karo mera !!

Post By:- Suryvansh Lal Nirala

Comments

Post a Comment