Ya Rab meri soi huyi taqdeer jaga de


Ya Rab meri soi huyi taqdeer jaga de
Aankhein mujhay di hain to Madina bhi dikha de.

Sun nay ki jo quwat mujhe bakhshi hai Khuda wand
Phir Masjid e Nabawi ki azanein bhi suna de.

Huroon ki na ghilman ki na jannat ki talab hai
madfan mera Sarkar ki basti main bana de.

Mudat say mein inn hathoon say karta hoon duaein
In hathon main ab jali sunehri bhi thama de.

Moun hasher mein mujhko na chupana parhay ya Rab
Mujh ko Teray Mehboob key chadar mein chupa de.

Ishrat ko bhi ab khushbu e Hassan aata kar
Jo lafz kahay hein unhein Tu tu naat bana de.

Ya Rab meri soi hui taqdeer jaga de
Ankhein mujhe di hein to Madinah bhi dikha de.

Comments