Jivan Ki Sachhai-Meaning Maha Shivratri in Hindi - Good Video(must watch)

**Sach Kaha hai Kisi ne ki bhakti me hi Sakti Hai**

Ye Mayawi duniya hai, Koi kisi ka nahi hai,
Agar ham aapna kah skte hai to wo hai kewal aatam viswas,
aur kuchh nhi,

Dosto aaeye ham aaj aapko uss Parm-Pita Parmesawar se awagat Karate Hai...



Aur Ye bhi sachh hai- Tulsi das ji ne kaha hai ki -
"Bade Bhaag Manus Tan Pawa, Sur durlabh Sadgranthhe Gawa"

Ye manusy ka tan- na jane kitne janmo ke bad manusy ki yoni milti hi aur agar
es manusy ki yoni me kuchh achha kaam kar gye to sayd phir se ye tan pane ka swabhagy prapt ho :)

aur dosto achha kaam bas mahal banana aur aish karna, aapna hi bhala sochna nhi hai sabse bada punay to unka sewa karna hai jinho ne hame es dharti par janm diya hai, hame es dharti par chalna sikhaye hai aur ess dharti, aakash, jal aur vayu se awgat karaye hain..
aur wo koi aur nhi wo hamare pujniy MATA aur PITA hai, inka sewa jo man se kiya samjho puri bramhand me uski jay jay kar hoti hai. Mata ek naari hai aur naari ka roop anek hai, kabhi Maa to kabhi bahan kabhi patni, to kabhi putri !!

**Yatra narystu pujynte ramnte tatr devata **
**Yatraitastu n pujyate sarvastatrafala**

Arth- jaha nariyo ki puja hoti hai , vaha devata ka nivas hota hai aur jah enki puja nahi hoti , vaha sab nishfal hoti hai.

Kahte hai ki maa sabd ka uchacharan karte hi shiv sankar ki damru baz jati hai,
puri bramhand me gujan hone lagti hai, sare kastt, rog, dukh dur ho jate hai.

Par aaj ke log aapne es maa ko bhul jate hai jo maa aapne bete ki totli awaz ko bhi samjh jati thi.
khud kuchh nhi khati puri rat soti nhi thi aapne bete ko aapne hatho se khilati aur god me sulati thi.....

Sach hi kaha hai kisi ne-
Put kaput hue hai jab me, Mata nhi Kumata, Mata nhi Kumata !!!

Comments

  1. Bahut hi achha post diya hai aapne - Jo bhi kuchh post me diya hai aapne ek ek word me sachhai hai. aur aapse mujhe aasa hi ki aap aage bhi aise hi likhte rahenge, aap es site ke post ke jriye marg darsk baniye.

    ReplyDelete
  2. wow thnx for ths great info for bhagvan sankar. chandan ji when i read ur post then m impress
    really not a joking,and i hope age bhi aap aise hi info dete rahenge. SAURABH SINGH NIKUMBH

    ReplyDelete
  3. Thanks for posting such information.Sir, hw is life going??

    ReplyDelete

Post a Comment