Mohabbat Banai Kyon - Aye khuda tune ye mohabbat banai kyon hai ??


Aye khuda tune mohabbat
ye banai kyon hai !
Agar banai to mohabbat mein judai kyon hai !!


Kyon diya pyar mujhe iski jaroorat kya thi !
Meri barbadi mein shamil teri hikmat kya thi !!

Meri rahon mein to khushboo ka safar rahta tha !
Dil mein aabad gulabon ka nagar rahta tha !!

Zindgi khaar bhari rah mein layee kyon hai !
Aye khuda tune mohabbat ye banayi kyon hai !!


Main agar ro loon to sehra ko samander kar doon !
Sakht ho jaun agar mom ko pathhar kar doon !!


Raakh ho jaye jahan main jo agar aah bharoo !
Aasma Toot pare Tujse Jo Fariyad Karun !!

Itni Gehrayi Mere Ishq Mein Aayi Kyun Hai !
Itni Gehrayi Mere Ishq Mein Aayi Kyun Hai !

Aye khuda tune mohabbat ye banai kyon hai !
Agar banai to mohabbat mein judai kyon hai !!

Comments